Kuch ehsaas kabhi awaaz nahi maangte. Woh bas dheere se zindagi ka hissa ban jaate hain jaise kisi purani kitaab ke safhon mein ek phool sookh toh jaata hai, par uski khushboo reh jaati hai. Tu bhi shayad waise hi mili thi. Na pehli nazar ka ishq tha, na kisi kahani jaisa junoon. Bas itna hua ke teri maujoodgi ne mere din ka lehja badal diya. Pehle mujhe lagta tha, insaan sirf lafzon se kareeb aate hain. Phir tu mili, aur samajh aaya ke kuch log khamoshiyon mein bhi apni jagah bana lete hain. Ajeeb baat hai… main tujhe har waqt yaad nahi karta, par koi bhi lamha poora nahi lagta jab usmein tera koi hissa na ho. Kabhi teri hansi, kabhi tera “khayal rakhna”, kabhi bina wajah ki koi baat… pata hi nahi chala yeh sab yaadein kab meri aadat nahi, meri fitrat ban gayi. Mujhe aaj bhi nahi pata ke humare beech rishta kya hai. Shayad zaroori bhi nahi. Har ehsaas ko naam mil jaaye, toh uski gehraai thodi kam ho jaati hai. Main bas itna jaanta hoon ja...